शुक्रवार, 29 जून 2012

EK ADHURE PYAR KO PATRA (LETTER) PART - 2/3


EK ADHURE PYAR KO PATRA (LETTER) PART - 2/3


(PART – 2)

"PYAR" aur "DOSTI" ye do aise shabd hain jinse mujhe bahut hi nafrat ho gayi hai aur ab main zindagi me kabhi dubara in shabdo par aur in risto par kabhi vishwash nahi karunga. Karan to aap jante hi ho ki main aisa kyo keh raha hu.

Mujhe to ab bhi aapke upar yakin nahi ho raha hai ki aap bhi aisa kar sakte ho. Mujhe to aapke upar khud se bhi jyada yakin tha aur aapne aakhiri bar mujh se jis tarike se bat ki thi usi time se mera khud par se bhi aur in risto par se bhi vishwash uth gaya.

Ho sakta hai ki aapko mujh se contact karne me pareshani ho... Magar itni bhi to problem nahi huyi hogi na ki aap kam se kam ek msg bhej kar hi sahi kam se kam mera ye hal to puch hi sakte the na ki meri accident ke wajah se jo tabiyat kharab huyi thi wo ab kaisi hai. Magar aap puchoge kyo aapke man me to shayad dusra koi bus gaya hai aur is wajah se hi aapne mujh se bat karne se saf mana kar diya aur kisi bhi tarah ka rista rakhne se mana kar diya yahi tak ki dosti ke naam par bhi mujhe dhokha de diya pyar to bahut dur ki bat hai.

Aapko agar apni galti ka ehshas ho gaya hoga to aap mujhe keh sakte ho ki meri (yani ki aapki) us time par kya halat ho rahi thi ye aap kya jano ye to main hi samajh sakti hu. Mujhe aapki in bato par tabhi yakin hota jab aap mujhse ek bar bhi dubara contact karne ki koshish karte kam se kam kabhi ek msg hi bhejte atleasta blank msg hi sahi is se to kam se kam itna to lagta ki chalo aap kam se kam mujhe yaad to rakh rakhe ho.

Ye to main ab pure yakin ke sath keh sakta hu ki aapne mujhe kabhi samajhne ki koshish hi nahi ki......... Agar aap mujhe samjhate to zindagi ke is crucial more par kabhi bhi mera sath nahi chorte chahe aapke ghar wale kuch bhi kehte.

Main ye kahunga ki aapne apne gharwalo ki ijjat ki unhone jaisa kaha aapne waisa kiya aur ye thik bhi hai aapko aisa karna hi chahiye magar uske sath sath aapko kam se kam mera bhi khyal rakhna chahiye ki aapka mere sath kaisa rista hai aur agar aap mujhse contact me nahi rahoge to is riste par kya asas parega.

Aur aaj inhi sab bato ke wajah se main ye kehne par majbur ho raha hu ki shayad aapke man me koi aur bus gaya hai aur shayad isiliye aapke man me mere liye koi jagah nahi rahi hai... Kyoki agar aisa nahi hota to aap mujhe jarura dubara contact karti chahe jaisi bhi situation hoti aur aap dusro ke samne mujh se waise behave aur bat nahi karti, kam se kam uske samne to bilkul bhi nahi jo aapke ghar ka member nahi hai......

Jaha tak rahi meri galtiyo ki bat to main wo bhi aapko batata hu.... Aapne mujhe kaha ki aapse pehle apni mummy se permission lo tabhi main aapse bat karungi (yadi aapko mujh par vishwas hota to kam se bat karne ke liye bilkul bhi mana nahi karte). Aapko yad hoga ki ek din maine aapse chat par akele me kuch sawal puche the jo ki aapke zindagi se jure huye the...... Maine usi din apni mummy se permission le liya tha aur tabhi maine aapse us tarah ke sawal puche the.
Aapke kuch jawab se aisa lagta tha ki future aapko mere sath kabhi kuch pareshani ho sakti thi aur main ye bhi dekhna chahta tha ki aapka mujh par kaha tak bharosha hai aur main aapko kaha tak khush rakh paunga aur iske liye mujhe puri tarah se aapko aur aapke behaviour ko aur sath me aapki faimly ko jan na jaruri ho gaya tha.... Isi wajah se maind apni mummy ko is bat se bilkul mana kar diya tha ki aap abhi kahi par bhi ye bilkul mat dikhana ya bolna ki aap abhi puri tarah se is shadi ke liye taiyar ho. Natija aapke samne tha..

Magar phir bhi aaplogo ko vishwas dilane ki puri koshish ki jiske liye maine kisi se aapki bat karayi aur bhi kai sabut diye the..
Magar aaplogo ka vishwas kaha jakar dagmaga gaya ye to aap bhi jante hi ho aur aise aadmi ke samne jo ki aapke ghar ka member nahi tha uske samne mujhe sun na para. Ye mera last din tha jab maine aakhiri faisla liya ki aap mere sath khush nahi rahoge kyoki aisa aapne bhi mujhe phone par kaha tha aur mujhe ye bhi kaha tha ki ab main aapko bhi achche tarah se pehchan gayi hu shayad yahi aapke vishwas ki kami thi shayad isi wajah se koi aur aapke man me bus gaya ho jiske upar ki aapko mujhse jyada vishwas hua ho.

Maine permission le li thi isi wajah se maine itne vishwas ke sath aapko kaha karta tha....

Jab aakhiri bar aapse bat huyi thi 19/04/2012 ko to uske bat maine chain se socha aur ise apne logo ke sath discuss kiya khshkar apni sister ke sath to result yahi nikla ki aap mere sath khush nahi reh paoge aur mere ghar ke halat ke wajah se aapki ambition yani ki future me aap jo karna chahte ho wo bhi adhuri reh sakti thi... Aur aapka behaviour jo aapne last ke kuch dino me mere sath kiya tha... Isiliye maine decide kiya ki main aapke zindagi se dur chala jau aur aap jo karna chahte ho aapko wo karne du... Isiliye aaj main aapki zindagi se dur hu aur bhugat raha hu ki maine bhi itna jya bharosha kyo kar liya tha.. Mummy ko bhi mana kar diya ki aap jaise kar rahe ho waire karte rehna. Mujhe aapko ye bate bataye bina rahi nahi gayi isiliye batayi kyoki main ab bhi aapse....... Rehne do bol ke kya fayda.

CONTINUED…….>>>>

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें