शुक्रवार, 29 जून 2012

Ek sachhi prem kahani


 Ek sachhi prem kahani


Ek sachhi prem kahani


s[Image: sad_couple_166295.jpg]
Story By. RAVI RAJ PATEL KANPUR  GHATAMPUR UTTAR PRADESH
 mujhe call kar sakte hai is number per-09990798768. Mere mail ID: raviumraojaan@gmail.com   
ap logo ki opinion mere liye bahut jaruri hai kyoki m ain khud hi is
bare me confused hun.

To kahani yaha se shuru hoti hai...

Ek
yuvati thi koi 27-28 saal ki shadi shuda, Apni duniya me khoosh, kisi 
se koi shikayat nahi. kehne ko Zindgi me sab kuchh tha.... 

maa-baap, bhai-behan, pati, jeevan ki gizar basar layak paise. 
kul milake acchi jindgi jee rahi thee. 

Ek din uski mulakat ek saksh se hui jo usse umra me bahoot bade the. 
Kisi kaam ke sambandh me donoki mulakat hui.. 

Pata nahi yuwati ko unme kya khas laga ki wo bus unke baare me hi sochne lagi. 
pata nahi wo kya mohpash tha jo use unki or kheechne laga aur wo unse 
milne ke liye bechain ho gai. 

Usne unki taraf dosti ka hath badaya jo us naik saksh ne kabool kar liya. 

20 saal ka umra ka fasla hoke bhi dono acche dost ban gaye. 
wo saksh the bhi is kabil...... decent, helping, good looking, caring sabhi kuchh accha tha.


Dheere dheere dono kareeb aane lage. aur isme yuwati ki hi ikchha jyada thi. 

Chaliye jyada confusion na ho isliye hum unhe naam de dete hai. 

Yuwati ko hum "S" kahenge aur saksh ko "PG".

To
"PG" to apni taraf se kabhi shuruat nahi kartey the. shayad unke man me
wo bhawna nahi thi ya unhe apni umra ka lihaj tha, ya duniya ki 
parwah..... 

khair jo bhi ho "S" to jaise deewani ho gai the. pata nahi wo kya cheez the jo use 
"PG"
ka diwana bana rahi thee" "S" hi apni taraf se unhe phone karti, unke 
office me milne jati aur raat din unke hi khayalo me khoi rahti. Lekin 
uske man me bus pyar tha wasna ya shareer ko koi sthan nahi tha.

wah
bus "S" ko kisi tarah se ek baar dekhna chati thee, pal do pal baat 
karna chahti the chahe akele me hi nahi sabke samne mile par unse kisi 
tarah mil le. "PG" ko bhala uske pyar ka asar
kaise na hota? wo dono aur kareeb aa gaye aur pyar shuru ho gaya.

Dono ke beech me shareer ka koi sthan nahi tha.

* Yaha se mera sawal shuru hota hai..... 

ab tak to unke beech "Platonic Love " tha par ab.......
do opposite sex kaise bhawok na hotey. jab unhe ekant milta 
to wo ek doosre ka hath pakadkar 
ghanto baithe rahtey. aur baatey 
kartey apne sukh dukh ki. dheer se 
ek din "S" ki hi pahal se wo ek doosre 
ke aagosh me sama gaye. phir kiss hua. 
lekin aam yuva premi-premika ki tarah
wo raat din bus iske liye pagal nahi rahtey. 
agar ekant me miltey to bus 
thori deer baho me samake 
aur pyar ki nishan deke phir baate hi 
kartey. matlab yaha sex abhi bhi 
prominent nahi hai. phir ek din unme 
wo sab hua jo humare samaj me 2 alad 
alad shadi shuda logo me vargit hai. 
lekin tab bhi we dil se saaf hi the. 
unka mel aise hua
jaise do nadiyan 
ek doosre me sama jati hai. 
aur wo akhir din tha jab wo waise mile.
Uske baad we punne bus premi-premika 
ki tarah apni maryadao me. Aaj tak 3-4 yrs gujar 
jane ke baad bhi unme wo sambandh 
kahayam hai. dono apni jindgi me apne 
parivar ke sath bahoot khosh hai. 
unke humesha ek doosre ke sukh dukh 
ka khayal rahta hai. door rahke bhi 
wo dil se kareeb hai. aur unke 
beech "sex" jaisi koi cheez nahi hai.
Matlab ek baar pyar ka ufaan aane ke 
baad ab ek doosre ke liye pavitra prem hi hai. 
mera sawal ye hai ki kya jo bhi hua 
wo uchit tha? agar humare samaj se poochha jaye 
to ye sawatha galat hi hai. ye charitraheenta 
hi hai. lekin main aap logo se poochhna chata hun..... 
kya unke beech me aaj jo bhi 
rishta hai wo kitna uchit hai? 
kya isi ko hum "Platonic Love" kahnege?
Kya hum "S" ko Meera Bai ka aur
"PG" ko Krishna ki tarah justify 
kar saktey hai? koi bhi
comment karne
ke pahley ye jaroor khayal rakhe 
ki ye ek sacchi kahani hai.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें